Lyrics for Film
Tu Jo Jaan Le
teri aankhein mujhako take iss tarah - (2)
jaise koi rishta ho inase mera
haan main tera pyaar hoon intjaar hoon
sun le kehana apane dil ka
tu jo jaan le, toh phir jaan de, o meri jaanejaana
tere raaste mein tere waaste deewaana
tujhe thaam loon toh iljaam loon tere pyaar ka
mera dil hai pata teri manjil ka
main hoon tere hasane ki ada
main hoon jhukati palakon ki wajah
tera har andaaj hoon, tere dil ka raaj hoon
main nahi mehmaan teri mehfil ka
tu jo jaan le, toh phir jaan de, o meri jaanejaana
tere raaste mein tere waaste deewaana
tujhe thaam loon toh iljaam loon tere pyaar ka
mera dil hai pata teri manjil ka
khaabon mein tere jo aayunga, baahon se teri na jaaunga
tujhe gar inkaar hai, meri jidd bhi pyaar hai
main huwa apane uss kaatil ka
tu jo jaan le, toh phir jaan de, o meri jaanejaana
tere raaste mein tere waaste deewaana
tujhe thaam loon toh iljaam loon tere pyaar ka
mera dil hai pata teri manjil ka
teri aankhein mujhako take iss tarah
jaise koi rishta ho inase mera
haan main tera pyaar hoon intjaar hoon
sun le kehana apane dil ka
(tu jo jaan le, toh phir jaan de, o meri jaanejaana
tere raaste mein tere waaste deewaana
tujhe thaam loon toh iljaam loon tere pyaar ka
mera dil hai pata teri manjil ka) - (2)
Tu Meri Shiri Aur Main Tera Farhaad
(ilm nahi tujhako ishq pareshaan kare mujhako
haal-e-ijhaar karun kisko, aa mere paas aaja tu
tu kahin pe bhi o i waana just be with you) - (2)
main bhula sab din raat waat, bas tu hai muhako yaad
tu meri shiri aur main tera farhaad - (3)
ilm nahi tujhako ishq pareshaan kare mujhako
haal-e-ijhaar karun kisko, aa mere paas aaja tu
tu kahin pe bhi o i waana just be with you
main bhula sab din raat waat, bas tu hai muhako yaad
tu meri shiri aur main tera farhaad - (3)
(mere manjar hai gehara paani tu iname dub na jaana
iss chaahat mein jaan dekar bharana padata hai jurmaana) - (2)
tujhamein hi toh jindagi yeh simati simati si rehati hai
teri khushbu mujhase harpal lipati lipati si rehati hai
tujhape apani jaan waar ke ho jaau aabaad
tu meri shiri aur main tera farhaad - (3)
(ho main puchhu tera haal kahaan mujhako itani fursat hai
iss ishq mein jhuti baatein karana teri toh aadat hai) - (2)
tere bin toh yeh najaare ruthe ruthe se lagate hai
dil ke dhaage dhadkano se tute tute se lagate hai
thaam le mera haath aaj main karata hoon fariyaad
tu meri shiri aur main tera farhaad - (4)
ilm nahi tujhako ishq pareshaan kare mujhako
haal-e-ijhaar karun kisko, aa mere paas aaja tu
tu kahin pe bhi o i waana just be with you
main bhula sab din raat waat, bas tu hai muhako yaad
tu meri shiri aur main tera farhaad - (4)
Rang Diya Dil Maine Pyaarwaale Rang Dholana
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana - (2)
ji ko jaana tha woh toh gaya
jaan bhi gayi tere hi sang dholana - (2)
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana
ho o o o......
aaya abb ke woh saawan ka jhonka, paagal dil mera de gaya dhoka - (2)
yaadon ka sog lagaaya maine jaan ka rog lagaaya
aankhon ne kar li nindon se jung dholana
jaan bhi gayi tere hi sang dholana - (2)
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana
raataan jag diya gin diya ne taarein, kamali kendene abb toh saare-(2)
oy aaja sitamgar aaja, bas itana karam kar aaja
mit jaaye na mehandi ke rang dholana
jaan bhi gayi tere hi sang dholana - (2)
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana
raste chaubaare aangan gulbute, chhute sab sangi rishte tute - (2)
ik tujhase juda jo naata, aur yaad nahi kuchh aata
tera naam japun main hoke malang dholana
jaan bhi gayi tere hi sang dholana - (2)
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana
ji ko jaana tha woh toh gaya
jaan bhi gayi tere hi sang dholana - (2)
rang diya dil maine pyaarwaale rang dholana
Magar Meri Jaan Suno Kehana
umar athara najar khatara adaaye wallaah
ho itani khubsurat tum ki mashaah allaah
tumhaari aankhein jo dekhein dil ko phenke, jaan karein fida
tumhaari julfon mein khoke, khaaye dhoke, jag se keh de alvida
(magar meri jaan suno kehana, ki easy nahi hai dil ki lagi
bahot mushkil hai dulha milana) - (2)
(najar na jigar na dil ke asar se, akal se karate hai pyaar
mile kisiko na mauka dubaara, aisa karo koi waar) - (2)
tir chalaake style se dil todo, yeh lo ?? abb chhodo
(magar meri jaan suno kehana, ki easy nahi hai dil ki lagi
bahot mushkil hai dulha milana) - (2)
(aankhein nishaane pe ho jo tumhaari, dil control mein ho
jaanega kaise bhala woh bichaara ke tum love role mein ho) - (2)
aisa chakkar hum chalaayenge yaara, samarpreet ban jaayegi jamaana
(magar meri jaan suno kehana, ki easy nahi hai dil ki lagi
bahot mushkil hai dulha milana) - (2)
umar athara najar khatara adaaye wallaah
ho itani khubsurat tum ki mashaah allaah
tumhaari aankhein jo dekhein dil ko phenke, jaan karein fida
tumhaari julfon mein khoke, khaaye dhoke, jag se keh de alvida
(magar meri jaan suno kehana, ki easy nahi hai dil ki lagi
bahot mushkil hai dulha milana) - (2)
Dilrubaao Ke Jalawe
koyi aashiq huwa daulat pe, koyi shohrat pe
kisi ne haar diya dil khuda ki ibaadat pe
daad deta hai jamaan phir hamein kis liye aakhir
ki hum toh khud ko lutaaye baithein hai ek aafat pe
game of love go round n round
mera dil duba o meri dilruba o meri dilruba
dilrubaao ke jalawe tauba dilrubaao ke jalawe - (2)
haay balaao ke jalwe tauba bewafaao ke jalawe
jaanata hai yeh saara aalam dil bechaara kahe kya
aa rahi julfein chhuke unn hawaao ke jalawe
inaki ada rahi mar gaye hum, par mashhur hai inake sitam
inaki gali mein jag mil jo gaya, samajho huwa phir kissa khatam
bhule hai bhatake hai julfon mein atake hai hamako bacha le khuda
dilruba ke jalawe tauba dilrubaao ke jalawe
haay balaao ke jalwe tauba bewafaao ke jalawe
game of love go round n round
mera dil duba o meri dilruba o meri dilruba
gesuo ka yeh gehara baadal jisaki duniya pe chhaaya
jindagi ji gaya woh aashiq jisane mehbub paaya
paa gaya khuda woh haan
dil ye dil yeh dil jisane gawaaya
aankh chaani hai sehraao ki jaan hatheli pe rakh ke
inaki raahon ko roshan karane dil bhi hamane jalaaya
saare jamaane se dur huye khud paagal mashhur huye
inako manaane mein sadiyaan gayi kishmish sab angur? huye
inn nigaahon ke dhhup chaanvo ke
sau jafaao ke uff adaao ke jalwe taun dilrubaao ke jalwe
dilrubaao ke jalawe tauba dilrubaao ke jalawe
haan husn ki aag se roshan hai aashiqon ke jamaane
hamase hi toh chala karate hain shaayaron ki dukaane
hamse hi jawaan hai ishq ishq ishq ishq ke saare fasaane
hamase dil jo lagaaya hai toh sabrr ki gaao aadaat
shikawa chhodo karo minnat aur akal laao thikaane
mujare se bola karate hai, ishq mein bola karate hai
har ik aire gaire pe dil nahi dhola karte hain
gori baaho ki chikani raahon ki kehkashaao ki inn gunaahon ke jalwe
tauba dilrubaao ke jalawe
dilrubaao ke jalawe tauba dilrubaao ke jalawe - (2)
haay balaao ke jalwe tauba bewafaao ke jalawe
tere dar pe dastak deta hai, tera deewaana
dil toh paagal hai phir anjaam se kya ghabraana
mere dil mein sirf tum ho, sirf tum ho dilbar
aise baajigar jo ho tum, phir ka ka kya hai darr
mast maahol mein dil khota hai, bolo toh phir kuchh kuchh hota hai
are yuun na chingaari bhadkaao, are devdaas ko koyi samjhaao
na kahe phir tumhe bewafa yeh duniya
tum kaho kaun ho baadshaah iss dil ka
main hoon na meri jaane jaana main hoon na
dilrubaao ke jalawe tauba dilrubaao ke jalawe
haay balaao ke jalwe tauba haay balaao ke jalwe
bewafaao ke jalawe tauba bewafaao ke jalawe
dilrubaao ke jalawe
Akela Dil Online Savy
akela dil, akela dil, akela dil online savy
akela dil, akela dil, akela dil yeah thats my way
kisi ke dil mein kyun rahe ghar apana chhodake
ho bas khud ka saath hi, haan jine ke liye
iss mohabaat ke siwa (aur bhi ghum hai by the way -2)
one more time
akela dil, akela dil, akela dil online savy
akela dil, akela dil, akela dil yeah thats my way
duniya toh kehati hai kehati reh jaayegi
khud jo na samjhegi tumako samjhaayegi
aawaara dil ki bhi koyi kahaani hai
sun lo yaaron jara gaake sunaani hai
akela dil, akela dil, akela dil online savy
akela dil, akela dil, akela dil yeah thats my way
here we go again
oh baby
jis pal ko ji liya utani hai jindagi
jo lamaha kho gaya na tera tha kabhi
rishta woh rishta hai jisame bandhan na ho
dil mein tamanna ho par na dhadkan na ho
akela dil, akela dil, akela dil online savy
akela dil, akela dil, akela dil yeah thats my way
kisi ke dil mein kyun rahe ghar apana chhodake
ho bas khud ka saath hi, haan jine ke liye
iss mohabaat ke siwa (aur bhi ghum hai by the way -2)
akela dil, akela dil, akela dil online savy
akela dil, akela dil, akela dil yeah thats my way
akela dil, akela dil, akela dil....
Aaja Aaja Mere Raanjhana
aaja aaja ve aaja aaja - (2)
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (2)
aaja diljaaniya ve aaja
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja
tere des sajan aayi teri dulhan
doli le aayi dekh tere aangan
jara daaman mere aachal se baandhana
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (2)
tere jo waade reh gaye aadhe
main woh nibhaaungi woh humdam
saat samandar lang diye maine
tujhako badhaane hai chaar kadam
saathiya saathiyahaath de, abb mera saath de
dekh raahon mein teri na jaaye jaan
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (2)
deewaane ki banake deewaani kya jaane maine bhi kya paaya
ishq ne aisa haal kiya mera, dard jubaan tak bhi na aaya
jaaniya jaaniya dekh lu gar tujhe rubaru pa jaau mohabbat ke do jahaan
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (2)
tere des sajan aayi teri dulhan
doli le aayi dekh tere aangan
jara daaman mere aachal se baandhana
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (2)
jaane kahaan yeh chaand chhupa hai, koyi le aaye usako jaakar
hosh gaye mere jaan ja rahi hai, abb nahi hota hai aur sabar
aayega chaand bhi abb tere saath hi
tera rasta take chaand saajana
aaja aaja
aaja aaja mere raanjhana ve aaja aaja - (4)
Dulha Mil Gaya
chak de
hai re dulhaniya bole na, ik vari ghungta khole na
hai re dulhaniya bole na, ik vari ghungta khole na
amritsar se amerika hil gaya
dulha mil gaya dulha mil gaya mil gaya - (4)
aaja aaja mere ranjhna ve aaja aaja, aaja aaja mere ranjhna ve aaja aaja
dil diyan gallan saari, kahan gaye vaari vaari
jo lut gaye dil o jack & jill da ho gaya ik rasta
jack de paas ferrari, jill bhi akhiyan kajrari
punjaban ve parande vich kyun na pher jack phasda
dil ka milan hua, dono ka lagan hua, baj gaye dhol aur tashe
tedhi kujh seedi thodi rab ne bana di jodi, ishqa de vekho ji tamashe
jo naina ladge, to sooli chad gaye
haye haye lut gaye saste mein dil gaya
dulha mil gaya dulha mil gaya mil gaya - (4)
chali jo nain katarein, kadey gayi sab di vaare
ye mere kal, ishq di gal, ishq wale jaane
dil di ho balle balle, aag lag jaaye thalle
ban ke robot udtey phirte hain sab deewane
chuk chuk chak chak dillo se deewano tak train jawani wali aaye
jack jhoom jill dhol dil hai ji goal kaun inko samjhaye
je baahein phad li, phad li
te junge lad li, o lad li
aaj phir gurr ke liye ganna chil gaya
dulha mil gaya dulha mil gaya mil gaya - (2)
hai re dulhaniya bole na, ik vari ghungta khole na
hai re dulhaniya bole na, ik vari ghungta khole na
amritsar se amerika hil gaya
dulha mil gaya dulha mil gaya mil gaya - (4)
magar meri jaan, dulha mil gaya
suno pehchan, dulha mil gaya
dulha mil gaya dulha mil gaya mil gaya - (6)